Online Classes kay jhanjat – Mazay Kay Sath!

We have all done this or quite frankly, this is the only thing that we have learned how to do in the last two years. Kehna tou nahien chahiye but hum sab ka yehi khawab tha bachpan sei kay aik aisa bhi din aye jab hum sakoon ki neend ley sakain class mein bhetay hoye.

Do saal pehlay jab Corona Pakistan mein taizi sey phelna shuru hua tou aik naya masla aya jo is Corona sey bhi bohat zayada bara tha: Online Classes. This concept was so foreign for everyone – students and teachers alike that no one had any idea what to expect. Magar phir mila humain aik formula ya asan alfazoon mein humnay seekha zindagi guzaraney ka aik naya tareeqa.

Hota hai kabhi kabhi – Kuch log hotay hain jo bus zindagi apney liye khud hi mushkil bana daitay hain. When online classes started, we all thought that it would be super easy.

Little did we know that online classes while having so many of its perks have a lot of complications as well. Tou phir humnay socha kay ab jab phir say cheezain online ho rahi hain tou baat kartay hain online classes kay jhanjatoon kay baray mein.

Magar us sei pehlay – we can’t help ourselves but talk of the irony that the Desi mothers now find themselves within. Aik waqt taak kuch hi arsay pehlay jab hum sab ki ammian humain kehti thi ‘Rakh day phone! Pata nahien pura din kis maa sey batien karta rehta hai.’ Aur ab jab hum apnay phone ko door rakh kar yeh bhi bholna chahtay hain kay humaray pass bhi koi phone hai tou wohi sari ammian ajati hain kay beta, ‘Kahan hai Phone apka? Class shuru honay wali hai na. Agar phone masla kar raha hai tou btao mujhay, mein aaj hi shaam mein papa sei naya aur acha wala phone mangwa deti hoon.’

On this note – let’s talk about all the things we did with our online classes:

  1. Sleeping during the classes

We have all done this or quite frankly, this is the only thing that we have learned how to do in the last two years. Kehna tou nahien chahiye but hum sab ka yehi khawab tha bachpan sei kay aik aisa bhi din aye jab hum sakoon ki neend ley sakain class mein bhetay hoye. Aur phir humnay yeh kar liya. This was also the major concern that our parents had because all of us just told that one friend in class who is the goody-good shows to call us when the professor calls our name, while we catch up on the sleep, we hadn’t even missed. What fun times! But no, take your studies seriously! Future hain aap sab humara.

  1. Classes Hacks

Hum sab bohat intelligent hain. Hacks hum kehna nahien chahtay kyun kay jugaar kehna mein zayada maza ata hai. Bohat jugaar nikalay humnay class na lainay kay. Dost ko keh diya attendance laga day. We have this one person in our office, who is currently in her last semester, and one time she had a class and was on her lunch break. The professor called her name but she wasn’t there to all she said was sorry sir, bathroom mein thi.

  1. Peechay ka chor – Motor band kardou. Pani nahien araha

Aik cheez jis ney humain aur humari teachers ko bohat tang kiya hai woh hai peechay sei ghar waloon ki awazain. We are sure kay bohat dafa hua hai aisa kay aap class lay rahay hoon gay aur peechay sey apka bhai awaz day ga, ‘Motor chala do – Pani nahien araha aur mein nangaa khara hoon.’ Aur phir wohi dastaan – aap keh rahay hain sab ko kay tum chala do aur sab keh rahay hain mein nahien chala raha; aur yeh sab batien sun rahay hotay hain apkay class fellows.

  1. Light Chali gae kay bahaney

We are all like this. Class mein so rahay thay aur naam miss ho gaya roll call mein tou kahien gay sorry sir, light chali gaye ya sir internet nahien chal raha. Ab yeh tou teacher ko bhi pata hai kay aisa kuch nahien hai but woh bechari bhi kya karain.

  1. Kisi bhi waqt ki PTMs

Uff – is cheez nay saray bachoon ko bohat tang kiya. While there are a lot of perks of taking classes online at the same time the one drawback is your mother can come in front of the camera any time and say to the professor, ‘Sir, raat kou bohat dair sei ghar ata hai. Mein tou samjha samjha kay thak gaye hoon ap hi kuch karain.’ Ya ‘Sir, ghar kay kaamon mein bilkul interest nahien laiti yeh. Kal raat bhi saray bartan mein nay khud dhoye. Kuch samjhaain aap isko.’ Aur us waqt dil chahta hai kay ya tou zameen nigal ley ya aasman phattay aur aap us mein sama jayien.

  1. ‘Nahien bhai, humain tou apna PTCL ka internet hi pasand hai.’

This is particularly relatable for those who have PTCL internet connection in their homes because they know kay PTCL tou kabhi chalna nahien hai. Khaas us mauqay per jab aap ko chahiye ho. Under normal situations, it is the same children who say, ‘‘Nahien bhai, humain tou apna PTCL ka internet hi pasand hai,’ who tell their parents that they love their PTCL kyun kay unko bhi pata kay jab woh final presentation di jaa rahi ho aur apko kuch ata na ho tou aik PTCL ki hai jo apki madad ko aye ga.

Seriously guys, fun aside, education is a very serious thing. Our future and the hopes and dreams of our parents all depend on it. We know that the situation is difficult but we need to make the best out of what we have and do our best to learn as much as we can.

Jawani Phir Nahi Ani Shoot Hogi Chaand Per!

Written by Shaheer Ahmed

Comments

Leave a Reply

Sehat Insaf Card Salient Features – Jio Imran Khan

Mother Daughter Duo

Mother-Daughter Pilot Duo-Namumkin Sei Mumkin Tak