The Love And Hate Relationship Between Women And Tailors

There are times that it can define our moods and whatnot. But hota yeh hai kay jab kisi kapray kay liye bohat excited hotay hain tou tailor sahib ya tou woh sahi banatay nahien ya phir late bana kar daitay hain.

Sewing items: tailoring scissors, measuring tape, thimble, spools of thread, including pins, needles and sewing accessories on sewing cloth. View from above.

Men generally believe that women only have one problem in their lives, and it is clothes. And yes they are true to some extent because clothes are essential, and one thing that women are extremely passionate about. There are times that it can define our moods and whatnot. But hota yeh hai kay jab kisi kapray kay liye bohat excited hotay hain tou tailor sahib ya tou woh sahi banatay nahien ya phir late bana kar daitay hain.

The relationship between a woman and her tailor is that of love and hate. Women tend not to praise their tailors, and then dhamkian bhi dein gi par apnay tailor kay baghair reh bhi nahien sakti. Jab kaho kay tailor change kar lo tou kahien gi kay, ‘khamian tou sab hi mein hoti hain. Aur jis taran sei woh mujhay samjhta hai aur koi samaj nahien sakta.’

Aur phir samaj nahien ata kay is pyar ko kya naam doon?

Funny story, a tailor named Muhammad Hafeez from Lahore was fined 51,000 RS, for not delivering the clothes on time, and also because the clothes were not of the quality that he had promised.

Ab tailor becharay bhi kahan jayien? Itni sari kahawateen aur sab ki apni apni demands. Woh tou puri koshish kartay hain kay har aurat special feel karay, ‘Baji, bus abhi abhi apka kaam karna shuru kiya.’ Ya ‘Baji, aap tou samaj jati hain asal mein woh Salma apa samjhti hi nahien aur phir bus unka kaam karna parta hai. Hum bhi tou insaan hain na baji, kya karain.’

Aur bus in hi meethi bataon mein ajati hain bajian, aur apna nuksan kar laity hain.

But is maslay ka hal bhi tou nahien koi. Sadiyon sei chali a rahi hai yeh dastaan, aur sadioun taak chalay gi yehi dastaan.

Aur mardon ko yeh baat samaj hi nahien ati. Haan tou hoti hain auratain khush kapron ko lay kar. Tou kyoun na hoon? Insaan nahien hain? Unkay seenay mein dil nahien hota? Itna masla hota hai jab aap subha office jayien apni pasand kay kaprey pehan kar aur wahan pata chalay us chalak Samina nay bhi same kaprey pehnay hoye hain.

Masla ho jata hai na, mood kharab ho jata hai. Spotlight share karni parh jati hai. Magar pata hai kay aik tailor hi hai jou humaray jazbat samaj sakta hai. Tou is hi liyay aaj hum tamam tailors sey darkhaust kartay hain kay please kapray kharab na kiya karain. Aik aap hi hain jinsey koi umeed hai humain. Aap bhi disappoint karain gay tou kahan jaien gay hum?

Laraib Atta Bags Nominations For BAFTA And OSCAR – Yahoooo!

Written by Shaheer Ahmed

Comments

Leave a Reply

Laraib Atta Bags Nominations For BAFTA And OSCAR – Yahoooo!

Pakistan First Ever Digitized Population Census