Ammi Ki Daant – Ammion Ka Aqwal-e-Zarrien

Mothers are our world. If there is one person who loves us unconditionally, it is our mother and no one else. It is because of them that we are born into this world. There is something about the way that our mothers love, which is unexplainable.

The love between a mother and her child.

Maa; yeh lafz kisi jazbat sey kaam nahien. Mothers are our world. If there is one person who loves us unconditionally, it is our mother and no one else. It is because of them that we are born into this world. There is something about the way that our mothers love, which is unexplainable. Kyun kay aisay kaisay ho sakta hai kay koi apsay us waqt hi pyar karna shuru ho jaye jab usnay apko dekha bhi na ho?

Our mothers start to love us long before we come into this world. Phir sahi kehtay hain na kay maa ki pairon talay hai Jannat.

It is not all rainbows and sunshine. While our mothers may be super sweet to us those first 9 months – things begin to change as soon as we are born. Bus maslay hi wahan sey shuru hotay hain jab hum paida hotay hain.

Shuru kay chand saal tou humari maa’ien humain pyar pyar sey samjhati hain but aik waqt ata hai jab woh pyar koi aur roop ikhtiyaar kar laita hai. Ab yeh roop kisi kay liyay hota chapaal ki shakal mein, aur kisi kay liya danda, hanger, pipe aur har woh cheez jo humari maa’on ki pohanch mein hoti hai us waqt jab unhain hum per ghussa aya hua ho.

Aur bus us hi waqt say aaghaz hota hai ammi ki daant ka – jo kabhi bhi koi bhi shakal ikhtiaar kar sakti hai.

There is no denying the fact that our mothers – whatever may they, where ever always have our best interest at heart. All mothers love their children and want them to succeed. No one can ever deny the fact that they sometimes communicate their good wishes in a funnier manner which is kind of cute.

For example, why do all mothers have to blame all our bodily pain or any illness that we have on our mobile phones? Matlab kay woh seedha seedha yeh bhi tou keh sakti hain kay beta, phone zara kaam use kiya karo. Ankhon kay liye acha nahien hai inti dair screen ko dekhna.

Magar nahien – jab hum apni ammi ko ja kar yeh kahien gay kay kamar mein dard hai ya phir mein tou yehi kahien gi ‘aur use karo phone sari sari raat.’

Kyun kay hota zayada kuch nahien bus jab bhi ammi ki nazar paray hum per aur hum apney phone ko dekh kar muskura rahay hoon gay tou woh kahien gi ‘kis maa sey batien kar rahay hou?’

Aab unko kaun kaisay bataye kay maa tou aik hi hoti hai baqion ko tou maa sey milana hota hai.

Then comes that time in our lives jab woh humain chor jaati hain aur reh jati hain unki yaadien aur unkay diye huay kuch tohfay. Aur un mein sey aik hoti hai koi shirt jou humain bohat pasand hoti hai.

And then our mothers turn that shirit into a pouchaa used to wipe the floors clean. Pehaly ussey ansu pouchatay thay hum aur phir ghar kay farsh.

Whatever it is, and however it may be, mothers are love. The bond we share with them is something we cannot have with anyone else. There are times when there is no need for words because just a stare is enough.

Jaisay kay jab ap jayien kisi kay ghar aur ap khaye jayien woh cheezain jo woh apkay samney rakhien. Us waqt apki ammi ki aik dafa ka ghoorna hi kafi hota hai tan badan hilaney kay liyay.

Bus yehi pyar hai ammi ka. Aur is pyaar kay bagair hum adhooray hain.

So to all the mothers – we wish you health and prosperity. We hope that our mother never leaves us aur humari umar bhi unko lag jaye. Kyun kay agar woh na hou tou hum bhi nahien hou saktay.

Zindagi Se Shikway – Truck Shayari

Written by Shaheer Ahmed

Comments

Leave a Reply

ICC Awards

ICC Awards- Waah Bhai Waah! Pakistan Cha Gaya Aik Baar Phir

Little Karim - the amazing porter.

The Curious Case Of Little Karim