How Not To Help Your Coworkers – Nahien Karna Tou Nahien Karna

Agar hotay dost tou kar na daitay hum help? Phir humney aur socha aur pata chala kay agar aap help ne karain tou aap problematic ho jata hain.

Coworkers. There are some feelings attached to it, and most of the time those feelings are not even nice especially us waqt jab woh ap ko aisa kaam dey dein jo apnay nahien karna ho. Humaray sath bhi kuch aisa hi hota hai kabhi kabhi, jaisay kay abhi aur jab ho aisay tou samaj nahien ati kay banda kya karay. Kaisay mana karay? Bohat socha humnay aur phir humnay kya aisay tareeqa hain jis ki badulaat aap na karain madad apnay coworkers ki. Ya in other words, ways how not to help your colleagues.

When we googled this topic (because woh tou nahien likh saktay thay jo hum khud kartay hain), tou google nay kaha kay coworkers are not your friends. Jaisay kay humain tou pata hi nahien tha. Agar hotay dost tou kar na daitay hum help? Phir humnay aur socha aur pata chala kay agar aap help nahe karain tou aap problematic ho jata hain.

Really because if you don’t want to help your coworkers then you are the problem; kyun kay aap nahien kar rahay help aur phir kyun nahien kar rahay? Company tou apki hai aur apsei hi hai, beshak tankhwa kam milay. Company mein shares bhi hain apkay aur aap nahien hoon gay tou company chalay gi kaisay?

Yehi sari batien sun’nein ko milti hain ap ko un lambi lambi meetings mein. Aur itni motivating batien sun kar apka dil karta hai kar hi doon help – company ka jo sawal hai. Phir yaad ati hai google ki baat kay coworkers are not your friends, aur phir dil karta hai help na karney ka.

Tou bhai yeh 6 tareeqay hain jis taran sei aap bach saktay hain coworkers ki help karnay sei aur aap ko koi bura bhi nahien samjhta. On a side note, we want everyone reading this article to appreciate and pray for the safety of this article writer because aik dafa yeh chala gaya na internet per, aur parh liye us kay coworkers ney tou bus phir tou Allah hi malik hai.

  1. Ahead of the curves – not behind them

Agar aap who soch rahay jou hum nahien keh rahay tou bohat ghalat baat hai. Pehlay tobah karain aur phir parhian agli line. There needs to be communication and certain bonding between coworkers to make the workplace livelier. In order for your coworker not to depend on you entirely, and bug you all day long – Whatsapp group mein kabhi kabhi trending cheezain bhej dein aur jann chura lein. Issey un ka tou kuch zayada faida nahien ho ga bus ap kay number bhar jayien gay sab kay samnay.

  1. There’s the rub – where you rubbing at?

Simple si baat hai – confuse karkay rakhain apnay coworkers ko kay un kay pass time hi na ho aur kuch bhi aur karney ka. If they come to you with a question, counter them, and give them another question. Who apsey pouchain, ‘aaj kaam kahan hai?’ tou aap pouchain, ‘Kal kaam kahan tha? This will help them because then they will have no option but to think.

  1. Hit the nail on the head – but not your coworker’s head (JK, unless?)

We know some times you most certainly want to hit someone, especially woh jou apkou aisa kaam dey dein jou aap na karna chahtay houn but we all know HR peechay par jaien gi agar mara tou. It is for this reason don’t hit them on the head, but unkou dara kar rakhain. Itna kay jaisay hi aap enter hoon unki sansien nikal jaien. Hath kapney lagain, aur unki himmat hi na hou apsey madaat mangney ki.

  1. Off the cuff – in unusual places

There are times when you can be nice, and help your coworkers but then when they begin to slack, all the time, you have to take matters into your own hands, (given that you are not cuffed, warna tou masla  hou jae ga). Inform your coworkers at first but then just go to your superior, and kaam karain aur credit bhi ley lain kyun kay kaha hai na google baba ney kay your coworkers are not your friends. Aur hum tou waisay hi jab kuch samaj nahen ata google kar laitay hain.

  1. Take the bull by the horns not the tail

Taking the bulls by the horn is just stupid. Agar aap aqalmand huay tou apkou pata hoga kay bull kon hota hai office mein. Bully nahen, bull – jou alag kamrey mein bhehta hai, aur bus camera ki ankh sey ham sab kou dekhta hai. There are times when your boss is angry, and jab aisa hou tou sab bhae chara bhool kar coworkers kou aggey kar dein. Koi zarurat nahen fazool mein hero banney ki. But then again, because it is our company and we have stakes in it (pata nahen kon sey but apparently), tou phir josh nikalain apney ander ka aur aur get to work. Leader ban jaiine bhi, balkay khud hi bull baann jaien aur apney coworkers sey woh paisay puray karwaien jou aap kou daitay bhi nahen hain.

  1. Cut the mustard or lick it – Surat-e-hal kay mutabiq faisla karain

Bus yaar apney coworkers ki madad maat karain, agar nahen karni. Aur kyun karain? It’s a free country, we can do whatever we want. Wear your headphones, and don’t listen to anyone, or at least pretend not to. Aur jab who apkou confront karain tou decide karain kay cut karna hai ya lick.

Agar tou cut karna hai tou ankhain dekhain, ghussa karain aur keh dein, ‘Mein bohat zaroori kaam kar raha tha.’ Aur agar lick karna hai tou keh dein, ‘Yaar, aaj kal bohat tension hain, zindagi mein kuch samaj nahen araha. Kuch keh rahay thay aap? Koi help chahie?’

Chances are kay who banda taras kha ley aur chala jae ga.

This is all for fun. But jokes apart, we should all give our best for the sake of the company. Tou agar kabhi madad karni parh bhi jae tou kar dein kyun kay company mein stakes hain bhae apkay! Dhoob jae gi yaar, aur afsoos hou ga kyun kay paisay tou nahen lagae thay apney bus aik apniyaat si hou gae un stakes sey.

14 Reasons Why 14th February Is A Sazish

 

 

Written by Shaheer Ahmed

Comments

Leave a Reply

SSG Commander Captain Usman Mukhtar aka Daniyal Is Alive And Well!

Mount Everest

Climate Change – Some People Are Worth Melting But Not Mount Everest