in ,

Creative Bahanay – Kon Banay Ga Creative Bahanay Baaz?

Hum nay bhi bohat socha aur then we decided to make a video because why not? And came up with creative bahanay. Interestingly, our HR decided that we will have to pay them, and only one lucky winner will be decided with the most creative bahanay.

What happens when you wake up late and it’s not even your fault, and you know you are already late. When you get that one message from your boss, which says ‘Where is everyone?’ and you realize that it’s not only you who is late but also everyone, and in that instant, you know kay office ka mahaul aur bhi kharab ho ga. Tou us waqt kya bahana banayien gai aap?

Hum nay bhi bohat socha aur then we decided to make a video because why not? And came up with creative bahanay. Interestingly, our HR decided that we will have to pay them, and only one lucky winner will be decided with the most creative bahanay.

And so, here goes the most creative bahanay that we have.

Excuse one: Sir mein so raha tha tou mujhay awaz aye. Mein nay dekha tou meray ghar kay sath wala volcano phat raha tha. Meray bed kay ird gird sub jagah lava tha. But sir mujhay pata tha kay time sei ana hai tou mein nay bed ki kashti banaye aur tyar hua. Jab mein nay bahir akar dekha tou sab jagah lava tha. Mein nay Volcano sei kaha kay ‘Sir, meri HR tankhawa katien gi please thori dair bad phateya ga’ tou woh aur phat gaya aur kehnay laga, ‘Meri HR bhi katien gi – bhai mein aaj already late ho gaya hoon. Thori dair ruk jao mera bus honay wala hai.’ Sir aap khud batayien mein kya karta. Mein nay wait kiya aur jaisay hi Volcano sir nay phatna band kiya mein bhag kar agaya.

Excuse two: Sir mein aaj late nahien tha. Main btata hoon kya hua tha. Main utha aur jaldi sei tyar hua. Anday bhi nahien khaye nashtay walay kyun kay late na ho jaoun. Phir mein office aya time sei aur sara kaam bhi kiya. Aap nay mujhay bohat danta bhi. Maina ap ko sari emails bhi kien. Phir apnay meri tareef ki tou mein nay socha yeh kaisay ho sakta hai. Phir mein nay socha kay yeh kya koi khawab tou nahen aur sir ji woh waqaye mein hi aik khawab tha. Phir mein jaldi sei agaya but inti dair mein late ho gaya. But sir mein khawab mein tou time per aya than a.

Excuse three: Sir mein uthi aur tyar ho kar bahir nikli tou road hi nahien thi kahien. Kuch bhi nahien tha. Samaj hi nahien araha tha kay kya karun. Phir aik dinosaur aya aur usnay kaha main chor daita hoon ap kou. Phir mein us per bhet gayi aur aa raha thi but sir woh dinasour meri baat hi nahien sun raha tha. Main usko left ka kehti tou woh right chala jata. Main right ka kehti tou who left chala jata. Phir mein utri aur usko sikhaya kay urtay kaisay hain. Phir sir woh ura aur mein agaye office but sir is sari cheez mein time lag gaya aur mein late ho gaye. Sir raat ko jab woh dinasour mujhay pick karney aye ga tou aap us sei pouch lijye ga. Mein such keh rahi hoon.

Excuse four: Sir mein so kar uthi tou mujhay ultian arahi thien. Mein nay ulti ki tou us mein sei aik maindak ka bacha nikla. Sir woh mujhay apni do bari bari ankhoun sei aisay dekh raha tha kay jesay mein uski maa houn. Aur aik taran sei hoon bhi sahi kyun kay woh meri ulti sey nikla hai na tou phir meri mamta jaagi aur mein usko ghar ley gaye. Sir, mein nay usko nashta diya but woh bohat ro raha tha. Phir mein usko sulaney lagi. Sir, bohat loorian sunayien phir who jaa kar soya aur mein agaye. Sir, kya mein aaj jaldy jaa sakti hoon? Maindak nay sotay sotay kaha tha, ‘maa, mujhay akelay darr lagta hai. Jaldy ajaye ga.’

If you want to know who had the most creative banana, you will have to watch our video to find out!

 

Written by Shaheer Ahmed

Comments

Leave a Reply

Shehzad Roy On A Mission To Control Population

sacha pyar pyaar true love funny love

Sachay Pyar Ki Talash Mein Kahan Jaien Hum?